ChatGPT
|

OpenAI says ChatGPT is now more intelligent and more friendly

OpenAI is giving ChatGPT a big update to make conversations sound more natural and friendly. The new version, called GPT-5.1, will respond faster for simple tasks and take more time to think deeply for complex ones.

Users ka ChatGPT ke sath ek emotional connection ban gaya hai. Jab bhi uska tone ya style change hota hai, log thoda upset ho jaate hain. Isliye OpenAI keh raha hai ke ye update ChatGPT ko “more enjoyable to talk to” banane ke liye hai.

What’s New

GPT-5.1 mein ChatGPT ab aur naturally baat karega. Pehle aap bots ke tone ko “Cynic,” “Robot,” “Listener,” aur “Nerd” jaise presets se customize kar sakte the. Ab naye tones bhi add hue hain — “Friendly,” “Efficient,” “Professional,” “Candid,” aur “Quirky.”

Aur bhi interesting baat ye hai: Do versions hain — ek Instant (fast replies ke liye) aur ek Thinking (deep reasoning ke liye). Ab GPT-5.1 Auto khud decide karega kaunsa version use karna best hoga, taake users ko manually select na karna pade.

OpenAI ke CEO Fidji Simo ne blog post mein likha: “800 million se zyada log ChatGPT use kar rahe hain. Ab time aa gaya hai ke sabke liye ek hi type ka chatbot na ho — har user ka experience personal hona chahiye.”

Unhone ye bhi kaha, “Hum chahte hain ChatGPT aisa lage jaise ye aapka apna assistant ho — jo aapke style mein kaam kare.”

Lekin ek concern bhi hai: Kuch users ChatGPT se emotionally attached ho rahe hain, aur real-life relationships par iska asar pad raha hai. OpenAI experts ke saath mil kar kaam kar raha hai taake samjha ja sake ke “healthy aur supportive interaction with AI” kaisa hona chahiye.

finally: GPT-5.1 pehle paid users ke liye launch ho raha hai, phir gradually sabko mil jayega. Jo log purana version use karte hain, unke liye legacy model teen mahine tak available rahega, taake wo compare kar saken aur adapt ho saken.

Subscribe IMNouman on LinkedIn Newsletter for the exclusive updates.
guest

0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments